Aaj hua hai aazad bharat, jashan manao dosto.
Aaj hua aazad main, jashan manao dosto.
Dekhkar lehrata tiranga, main bahut hi khush hua.
Dekhkar behti hawa ko, main bahut hi khush hua.
Meri khushi ko yu achanak, lag gaya aisa grahan.
Dekhkar hakiqat desh ki, uchat gaya ab mera man.
Aek oor apne bacche ko khana khilakar, maa bhukhe so jaye hai.
Dusari oor tiranga uthaye baccha, padhne ko lalsaye hai.
Sarpat dodhti mehngi ye gadiya, unche unche ye bhawan.
Nange paanw chalta wo baccha, aeik aasre ko tarsaye hai.
Bhukhmari, ashiksha, rishwatkhori, ab bhi na mitne paye hai.
Bhrastachar ko hatane Anna, ab anshan ko jaye hai.
Dekhbhakti k bhashad, ab har koi sunaye hai.
Kya khade hokar rashtriya gan gana hi, ab dekhbakti kehlaye hai.
Ban sawankar kuch yu aise nikle, kuch to bas dekhe jaye hai.
Jat pat unch neech, peedhiyo se mit na paye hai.
Ab to chup ho ja re “SARVER”, kyo tu bole jaye hai.
Bharstachara ki chalti aandhi me, tu bhi jhoke khaye hai.
Tu bhi jhoke khaye hai…. tu bhi jhoke khaye hai….

Written by : Mohammad Sarver